Watch Brothers 2015 Full Hindi Movie Online Watch

Image
IMDb Rating: 6.7/10 Genre: Action, Drama, Sports Director: Karan Malhotra Release Date: 14 August 2015 Star Cast: Akshay Kumar, Jackie Shroff, Sidharth Malhotra Movie Story: Two estranged, street-fighting brothers square off against each other in a mixed martial arts tournament. Brothers 2015 Full Hindi Movie Onlin Watch Brothers 2015 Full Hindi Movie Online Watch || Download Via Single Links Size 1.2Gb || Tags : movierulz, tamilrockers, mp4moviez, bolly4u, tamilyogi, filmywap, 9xmovies, khatrimaza, moviesda, 7starhd, tamilgun, jio rockers, moviezwap, worldfree4u, movierulz ms, klwap, world4ufree, khatrimazafull, fzmovies, tamilrockers co, moviescounter, movies counter, 9kmoviestamilrockers 2020, coolmoviez, mp4mania, tamilrockers latest, tamil hd movies, dvdvilla, jio rockers tamil, a2movies, movies ki duniya, movierulz pe, foumovies, movierulz pc, tamilrockers website, tamilrockers hd, filmy4wap, movie 4 me, ssr movies, yify movies, worldfree4u movies, coolmoviez net, filmywa

Computer Kya Hai Uski Puri Jaankari Aur Introduction








Jis kisi ke bhi pass computer hai wo computer, windows computer hone ki sambhawna sabse jada hai.Isliye iss post me aj mai Windows computer ki basic jankari par charcha karunga.Windows computer ki jankari lene se pahle ye samajh lete hai ki akhir windows kise kahte hai.



Windows kise kahate Hai

Microsoft company Operating system banati hai jise windows kahte hai.Yah sabse jada popular operating system hai.Windows operating system ke kai version ate hai jaise- Windows XP , Windows 7 ,Windows Vista, Windows 8 , Windows 8.1 aur Windows 10

Windows computer ke basics

Ab aap Windows ka matlab to jaan gaye hai.ab ham Windows ke basics ki jankari ek-ek kar ke lete hai.

1.Icon kise kahate hai
Windows computer me jo bhi
software hota hai uska ek image hota hai jise dekh kar ham us software ko pahchan jate hai ise hi icon kahate hai.

2.Task bar kise kahate hai:-
Jab ham apne computer ko On karte hai to sabse niche ek “bar” hota hai.aur jab ham koi bhi software apne computer me On karte hai to wah software ka icon hame us bar me dikhai deta hai jise hi Task bar kahate hai.



3.Desktop kise kahate hai
Jab ham apne computer ko on karte hai to sabse pahle jo screen ata hai use desktop kahate hai.yah Windows ke latest version me desktop select karane par dikhai deta hai.

4.Internet Explorer kise kahate hai
Yah ek software hota hai.Jab hame apne computer me internet chalana hota hai to ham iska istemal karte hai.Ise browser kahate hai.Yah har
windows computer me pahale se dal kar ata hai.

5.Computer me folder kaise banaye
Agar aap computer abhi chalana sikh hi rahe hai to ye janana bahut jaruri hai ki folder kaise banaye.iska istemal ham files (images,videos,songs) ko rakhne me karte hai.

Sabse pahle computer me us jagah jaye jaha par apko folder banana hai.Man lete hai ki mujhe desktop me

folder banana hai.To mai desktop me jake right-click karunga uske bad New me jake Folder me click karunga.Fir apne folder ko koi bhi naam dunga jo mai dena chahta hu.

6.Start menu kise kahate hai
Agar aap Windows ka purane version istemal kar rahe hai jaise Windows XP to aap dekhenge ki left side niche me
start menu likha dikh raha hoga usme jaye use hi start menu kahate hai.

Aur agar aap Windows ke naye version use kar rahe hai to apko apne
keyboard me ek Windows button dikh raha hoga use dabaye jo ayega use hi
Start menu kahate hai.

7.Control panel kise kahate hai
Yah Computer ke sabhi tahar ka
setting karta hai.Apne computer me
control panel open karne ke liye
Windows button dabaye fir control panel likhe fir control panel par click kar de.

8.Recycle Bin kise kahate hai
Jab ham windows computer me kisi
file (images,text,videos,songs) ko
delete karte hai to wo Recycle bin me chala jata hai. jise ham fir se apne
computer me wapas la sakte hai ya fir hamesha ke liye delete kar sakte hai. Recycle bin hamesha computer ke desktop me rahta hai.

Agar aap kisi file ko delete karna chahte ho aur wo file Recycle Bin me jaye bagerh hamesha ke liye delete ho jaye to Aap keyboard me Shift ke sath Delete button dabaye.

9.Software install kaise kare
Jab aap koi software internet se download ya cd drive se copy ya
pendrive se copy karke apne computer me lakhte hai uske bad apko us software ko run (chalane) karne ke liye use install karna padta hai.

To sabse pahle us software me jaye aur iss file Setup.exe ya fir
Install.exe likha hoga use khoje fir usme click kare aur uske bad kuchh
instruction ayega use follow kare.

10.Software uninstall kaise kare
Jab hame software pasand nahi ata ya fir hamare computer ki memory full ho jati hai to hame kuchh software uninstall karna padta hai.
Yah option Windows ke sabhi version me alag-alag tarike se ata hai.

Windows 8 me software uninstall karne ke liye sabse pahle control panel me jaye fir usme Programs me Uninstall a program likha hoga use khoje fir usme click kare.Ab pure
software ka list ayega jise chaye
uninstall kare.

Windows 8.1 me software uninstall karne ke liye control panel open kare fir usme Programs and features khoje aur fir usme click kare.ab sabhi
software ka list aya hoga usme jo
uninstall karana chahte hai use kare.

11.File explorer kise kahate hai
Isme hamare computer ke sabhi
drive, files,My documents hote hai jisme hamare sabhi files hota hai.ise ham desktop me My computer me jake open kar sakte hai.(Kabhi-Kabhi
My computer alag naam se bhi hota hai lekin usme jo icon hota hai wo
computer ka hi hota hai use dekhe)

12.Windows computer me Date aur time kaise set kare
Computer me date aur time set karane ke liye sabse pahale taskbar me jaye aur waha date aur time dikh raha hoga usme click kare fir apna
date and time set kare.

13.Computer ka background image kaise change kare
Agar aap apne computer ka
background (desktop ka) image change karana chahte ho to sabse pahle us image ko open karo jise aap

backround (desktop) image banana chahte ho fir usme right-click karke
set as a desktop background par click karo.
Aap desktop me right-click karke
personalize option ko khol ke bhi
background image change kar sakte ho.

14.Screen saver kise kahate hai aur ise kaise set kare
Jab ham apne computer ko kuchh time ke liye chalu chhod dete hai to ek alag screen ata hai jise screen saver kahate hai.

Ise set karne ke liye desktop me jake
right-click kare fir personalize select kare.isme Screen saver likha hoga use select kare.

fir apna manpasand
screen saver aur kitne samay me
screen dikhai dega use bhi select karke ok kare.

15.Refresh kya hai aur iska use kyu aur kaise kare
Jab computer thoda hang (atakne) lagta hai to ham refresh ka istemal karte hai jisse computer fir se achha kam karne lag jata hai.

Ise ham right-click karke refresh
select karke kar sakte hai aur uske bad lagatar refresh karne ke liye
Keyboard me F5 button ka istemal karte hai.


Aapko Ye Post Kaisa Laga Is Post Se Rileted Koi Sawaal Jawab Ho To Aap Hume Coment Jarur Kare

Aur Share Kare

Comments

Popular posts from this blog

Shaadi Mein Zaroor Aana Torrent Full Movie Download HD 2017

The Predator (2018) Download Dual Audio Hindi 300MB HD 480p 720p Mo

Athiratha (2018) Download Hindi Dubbed 480p HD 350MB latest Movies