Hello Dosto, Apko Pta Hoga Ki Facebook par Monthly Active User 1.59 (1.5 Arab) Hai. Aur Unme Se Ek App bhi hai. Facebook Ek Social Site Hone Ke Sath Sath Manav Jeevan Ka Ang Ban Gya hai.
To Ajj Ye Post Facebook Ki Suraksha Aur hacking Se Bachne Ke Liye Apki Madad Karega !
Yaha Par Speical tip Share Karunga Jo. Har Ek Facebook User Ke Liye Jaruri Honge:
Facebook Account Ko Hackaro Se Bachane Ke Tips
Facebook ka Password
Gupt Hona chahiye App Bhulkar Bhi Kisi Other Person Ko Facebook ka Password Share na Kare !
Email Protection: Dhyan Rahe Agar Apne Facebook Account Email se Attach Kiya hai to Apko Facebook Ke Sath Sath Email Ka password bhi Protect Rakhna Padega,
Agar Kisi Ne Email Me Access Ya Hack kar li To App Facebook Sahit Apni Bahut Social Site Par Khatra ho Jayega hai.
Facebook Password Ya Email ID ka Password Select karte Samay App Password me Name , Common Word , Mobil Number , Girl-Friend Name , Etc. Se Bachna Chahiye Aur Jyadatar User Yahi Galti Karte hai
Jisse Unka password Aasani Se Guess ( Anuman) Lagaya Ja Sakta hai. App Special Character ( #@$ ) Ka Upyog Bhi Kar Sakte hai
Agar App Cyber Cafe Net Use Kar Rhe hai to Phele Check Karle Ki Usme Koi Hacking se Related Koi Software Phele se Install Na ho Jisse ki Apka Password Copy Ho Jaye to Bad Me Problem Create Ho Jaye, Dhayan se Log-in Karne Ke bad Aur Facebook Upyog Karne Ke Bad usse Dhyan Se Log-out Jarur Kariyega , Wo Public Computer hote hai.
Esliye Log-out Karna Mat Bhulna !
Agar App Personal Computer Use Kar Rhe hai to Usme Active Antivirus Jarur Install Kare, Jisse hacking ki Itna Khatra nhi hota hai.
Bahut se Facebook User Ka Kehna hota hai Ki Hmara Account Koi Hack Nhi Sakta Aur Ho Bhi To koi Farak Nhi Padta Me Un Log Ko kahna Chahunga Ki Facebook Account Bade Bade Celebrities Ho jate hai to Hum to Normal Insaan hai.
Aur Hacking ke Me Facebook Friends Ke bich Hamari ek Acchi Image Gir jaati hai Jo Ek Social Sites Aur Reality Ke Liye Kaafi Bura Hota hai. Ho Sakta hai Koi Apse badla Lene ke Liye apka Facebook Hack Karle
Facebook Profile Ko Hack Karna Aasan to nhi hai par Ye Kahna Bhi Galat hoga ki Facebook Par Hacking Nhi hoti hai. Facebook Par Per-day Bahut Si Account Hack Ho Jaate hai Sirf Thodi Privacy Bhul Ke Karan. Koi Password Kisi Ke Share Kar Deta hai . Koi Worst Password Ka Upyog Kar Leta hai. Jo Kuch Bhi Wajah ho Apke Ye tips Par Dhyan Jarur Dena Chahiye.
Jisse apka Purana Password pata ho. Aur Wo Timeline Par Aisa Kuch Share Kar de Jo kabhi Share nhi Karna Chahiye to App Samjh Sakte hai Ki Me Kis Baat ki bat Kar Rha hu..
Aur App Samajh Honge ki In Tips Ko Share Karne Ka Mera Purpose Kya Tha.
I hope Ye post Aapke Kaafi Kaam Aayega aur App Dusro Ko Bhi ye Share Karenge !
Comments
Post a Comment