App Sabhi Jaante Hai Ki Ajj Kal Jyadatar Kaam Online
Ho Rhe hai. Agar Hum Recharge Ki Baat Kare to Online Recharge Karne Walo Ki Shankhya Badti Jaa rhi Hai. Aur Agar App Bhi Online Recharge Karte Hai to Ye Post Me App Recharge Ke Paise Bachana seekh Sakte Hai Aur App Online Recharge Ke Liye New Ho To Online Recharge Kaise karte Hai. Uski Puri Jaankari Le Payenge
Sabse Phele Hum Apko Bata De. Ki
Apka Bank Account Hone jaruri hai. Jisska ATM ya Debit Card Apke Pass Hona Chahiye
Apke Pass Bank ATM Card Hona Chahiye Jisse Debit Card Bhi Bolte Hai.
Emaid ID Honi Jaruri Hai. Agar Email ID nhi hai To App Bana Sakte Hai
Your Mobil Number For
Registeration
Online Recharge Ke Bahut Si Website Hai Jinke Apne Advertising Bhi Dekhe Honge Jaise, Paytm , FreeCharge , Mobikwick , Oxygen Wallet , Ye Sab Online Recharge Karne Ke Liye Website Hai. Smartphones Ke Liye inke APPS bhi Google Play Store Me Available Hai.
Ajj Me Apko Paytm Aur FreeCharge Se Recharge Ka Karne Ka Ek Example Dunga.
Paytm Se Recharge :
Jaise ki Mene Btaya ki Smartphones User Apne Paytm Apps Ke Dwara RechargeKar Sakte Hai. Website Se Recharge Karna Seekh Lijiye
Sabse Phele Apko Paytm Ki Site Par Jaana Hota hai. (Site Par Jaane Ke Yaha Click kijiye)
Iske Bad Apko First Time Signup karna hai. Yaani Ek New Account Kholna hai Ya Apke Pass Phele Se Paytm Par Registered Account hai To App Log-in Kar Sakte hai.
Signup ya Log-in Karne Ke Bad App Paytm Account Me Enter Ho Jate hai.
Paytm Online Recharge
Waha Par Online Recharge Ki Bahut Saare Option Dekhne Ko Milenge, Jisme DTH , Mobil , Etc. Se Recharge Ke Feature Available hai. Humko Mobil Recharge Karna hai to Recharge Wale Feature Par Click karna hoga. Usme Apko Mobil Number (Jisme Recharge Karna Ho) Daalna hota hai , Uske Bad Operator(Ex. Airtel , Idea , Vodafone Etc.) Aur Circle( Rajasthan , Delhi , Bihar Etc.) Select Karni hoti hai. Aur Recharge Karne Wali Amount Daalni Hogi. Dhyan Rahe Jitna Amount Ka App Recharge Karna Chah Rhe hai. Uska Amount Apne Bank Balance ke Katega Esliye Bank Me Balance Hona Chahiye !
Ye Sab Detail Daalne Ke Bad Apko
Proceed to Recharge Par Click karke Payment Option Par jaan hota hai. Payment option me Apke Pass ,Debit Card , Credit Card , Internet Banking , Cash Card , jaise option Apke Pass Payment ke Liye Ke Liye Available hai. To Me Apko Debit Card(ATM ) Se Recharge Karna Bataunga. JyadaTar Online Recharge Isi Option Se Kiya Jata hai.
Debit Card Wale Feature Par Apko click Karne Ke Bad Apko Debit Card yaani ATM ki Detail Bharani Hoti hai.
Debit Card Number: Apne Debit Card Me App Dekh Sakte hai. Ki Usme Ek 16 Digits Ka Ek Number hota hai . Jisse Debit Card Number Kaha Jata hai. Wo Detail Bhi Debit Card Number Me Daalni hoti hai.
Expiry Date: Us Debit Card Expiry Date bhi hoti hai Jo Us Card Par Print Hoti hai. App Apne Debit Card Par Printed Expiry Date Dekh Sakte hai.
CVV: Debit Card Ke Peeche Uska CVV [ Card verification value ] Code bhi Likha hota. Jo Normal 3 Digits ka Hota hai. Wo Bhi Detail me Enter Kiya Jata hai.
Iske Bad Pay Now Button Par Click karne Bad App Apne bank Ke page Par Redirect ho Jayenge. Example ke App Mera Canara Bank Ka payment Page Dekh Sakte hai. Isme mere Pass Bank ka Ek Password Generate Kar Rakha hai to Wo Mene Daala Aur Recharge Successfull Ho Gya. Ho Sakta hai Apke Bank Page Ke OTP Aaye Ya Koi Password New Generate Karway. Iske Sath App Paytm se Recharge Karna Seekh Chuke Hai.
Isi Tarah Ki Process Bank se Online Payment Karne ki Hoti hai. Koi Bhi Online Paymet hum Is Tarah Kar Sakte hai.
Comments
Post a Comment